Saturday, January 8, 2011

"Achha Ji Main Haari" | Movie : Kala Pani



Movie : Kala Pani
Singer : Mohammed Rafi,Asha Bhosle
Music : S.D.Burman
Release Year : 1958
Complete Movie Info

Lyrics :

Achha ji main haari chalo maan jao na
Dekhi sabki yaari mera dil jalao na
Achha ji main haari chalo maan jao na
Dekhi sabki yaari mera dil jalao na

Chhote se kusoor pe aise ho khafa
Roothe to huzoor the meri kya khata
Chhote se kusoor pe aise ho khafa
Roothe to huzoor the meri kya khata

Dekho dil na todo
Chhodo haath chhodo
Dekho dil na todo
Arre chhodo haath chhodo
Chhod diya to haath maloge samjhe
Aji samjhe

Achha ji main haari chalo maan jao na
Dekhi sabki yaari mera dil jalao na
Achha ji main haari chalo maan jao na
Dekhi sabki yaari mera dil jalao na

Jeevan ke ye raaste lambe hai sanam
Kaatenge ye zindagi thokar kha ke hum
Jeevan ke ye raaste lambe hai sanam
Kaatenge ye zindagi thokar kha ke hum
Hoye zalim saath le le
Achhe hum akele
Hoye zalim saath le le
Achhe hum akele
Chaar kadam bhi chal na sakoge samjhe
Haan samjhe
Achha ji main haari chalo maan jao na
Dekhi sabki yaari mera dil jalao na

Jao reh sakoge na tum bhi chain se
Tum to khair lootna jeene ke maze
Kya karna hai jee ke
Ho rehna kisi ke
Kya karna hai jee ke
Arre ho rehna kisi ke
Hum na rahe to yaad karoge samjhe
Samjhe

Achha ji main haari chalo maan jao na
Dekhi sabki yaari mera dil jalao na
Achha ji main haari chalo maan jao na
Dekhi sabki yaari mera dil jalao na

"Dil Ka Bhanwar Kare" | Movie : Tere Ghar Ke Samne



Movie : Tere Ghar Ke Samne
Singer : Mohammed Rafi
Music : S.D.Burman
Release Year : 1963
Complete Movie Info

Lyrics:

dil kaa bhanwar kare pukaar, pyaar kaa raag suno re

ful tum gulaab kaa, kyaa jawaab aap kaa
jo adaa hain wo bahaar hain
aaj dil kee bekalee, aa gayee jabaan par
baat ye hain tum se pyaar hain
dil tumhee ko diyaa re, pyaar kaa raag suno re

chaahe tum mitaanaa, par naa tum giraanaa
aansoo kee tarah nigaah se
pyaar kee oochaaee, ishk kee gaharaee
poochh lo humaaree aah se
aasamaa chhoo liyaa re, pyaar kaa raag suno re

is haseen utaar pe, hum naa baithhe haar ke
saayaa ban ke saath hum chale
aaj mere sang too, goonje dil kee aarajoo
tuz se mere khwaab jab mile
jaane kyaa kar diyaa re, pyaar kaa raag suno re

aap kaa ye aanchal pyaar kaa ye baadal
fir humei jameen pe le chalaa
ab to haath thaam lo, yek najar kaa jaam do
is naye safar kaa waasataa
tum mere saakiyaa re, pyaar kaa raag suno re

"Aap Ki Nazaron Ne" | Movie : Anpadh



Movie : Anpadh
Singer : Lata Mangeshkar
Music : Madan Mohan
Release Year : 1962
Complete Movie Info

Lyrics:

Aapki Nazron Ne Samjha, Pyaar Ke Kabil Mujhe
Dil Ki Ai Dhadkan Thaher Ja, Mil Gayi Manzil Mujhe
Aapki Nazron Ne Samjha

Ji Hamen Manzoor Hai, Aapka Ye Faisla
Kah Rahi Hai Har Nazar, Banda Parvar Shukriya
Hanske Apni Zindagi Mein, Kar Liya Shaamil Mujhe
Aapki Nazron Ne Samjha ...

Aapki Manzil Hoon Main Meri Manzil Aap Hain
Kyon Main Toofaan Se Darun Mere Saahil Aap Hain
Koi Tufanon Se Kah De, Mil Gaya Sahil Mujhe
Dil Ki Ai Dhadkan Thaher Ja, Mil Gayi Manzil Mujhe
Aapki Nazron Ne Samjha ...

Pad Gayin Dil Par Mere, Aapki Parchhaiyan
Har Taraf Bajane Lagin Saikdon Shahnaiyaan
Do Jahaan Ki Aaj Khushiyan Ho Gayin Haasil Mujhe
Aapki Nazron Ne Samjha ...
Dil Ki Ai Dhadkan Thaher Ja, Mil Gayi Manzil Mujhe
Aapki Nazron Ne Samjha ...


"Main Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya" | Movie : Hum Dono



Movie : Humdono
Singer : Mohammed Rafi
Music : Jaidev
Release Year : 1961
Complete Movie Info

Maein Zindagi Ka Saath Nibhata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Udata Chala Gaya

Barbadiyon Ka Shok Manana Fizul Tha
Barbadiyon Ka Jashan Manata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…

Jo Mil Gaya Usi Ko Muqaddar Samajh Liya
Jo Kho Gaya Maein Usko Bhulata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…

Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mehsoos Ho Jahan
Maein Dil Ko Us Muqaam Pe Laata Chala Gaya
Har Fikar Ko Dhuen Mein Uda…