Monday, January 24, 2011

"Sun Le Tu Dil Ki Sada" | Movie : Tere Ghar Ke Samne



Movie : Tere Ghar Ke Samne
Singer : Mohammad Rafi
Music : S.D.Burman
Release Year : 1963
Complete Movie Info

Lyrics :

sun le tu dil ki sada,pyaar se pyaar saja
sun le tu dil ki sada

aaj tak jo bhi hua, jhoote jagadon ne kiya
aaj tak jo bhi hua
aaj tak jo bhi hua, jhoote jagadon ne kiya
pyaar hota to kuchh na hota, na ujadate aashiyaan
sun le tu dil ki sada..................

pyaar jis ne na kiya,khaak duniya men jiya
pyaar jis ne na kiya
pyaar jis ne na kiya,khaak duniya men jiya
us ka jivan koi jivan, jaise viraan bastiyaan
sun le tu dil ki sada......................

pyaar jis dil men javaan, samajho bhagavaan vahaan
pyaar jis dil men javaan
pyaar jis dil men javaan, samajho bhagavaan vahaan
maan le tu aur samajh le, dhadakanon ki ye zubaan
sun le tu dil ki sada...............

pyaar dushman se badha , tab hai jine ka maja
pyaar dushman se badha
pyaar dushman se badha , tab hai jine ka maja
ye zamin tu bana de ek milan ka aasaman
ye zamin tu bana de ek milan ka aasaman

No comments:

Post a Comment